सीधे मुख्य कॉन्टेंट पर जाएं

Verification – Address ka Proof

Address Proof verification kaise kaam karta hai aur ise kaise complete karein, iske baare mein jaaniye.

Maya द्वारा लिखा गया

Is article mein aap jaanenge ki proof of address verification process ko kaise complete karein, examples, aur helpful tips.

Address Proof ka Verification

Aap verification form mein Geolocation function ko chalu karke apna address verify kar sakte hain. Yeh raha tareeka:

  • Verification form mein apni location confirm karne ke liye geolocation data ke liye “Allow Access” par click karein.

  • Jaise hi aapki location detect ho jaati hai, aapko apne desh ka naam dikhai dega.

Aap apne address proof ke liye niche diye gaye kisi bhi document ko upload kar sakte hain, jisme aapka poora naam, current address aur issue date mentioned ho:

  • Poora address ke saath ID.

  • Bank statement.

  • Tax bill ya tax return.

  • Internet, TV, telephone, ya utility bill.

  • Property ka registration document

Dhyan rakhein ki aapka document 3 mahine se zyada purana nahi hona chahiye.


💡 Tips & Tricks

  • ⏰ Haal hi ki photo

    Aapke document ki photo ya scan 2 hafte se zyada purani nahi honi chahiye. Hum recommend karte hain ki photo upload karne se bilkul pehle hi kheenchein.

  • 💯 Saari jaankari

    Nishchit karein ki aapke document mein aapka poora naam, address aur issue date clearly dikhai de. Yaad rakhein, document 3 mahine se zyada purana nahi hona chahiye.

  • 📃 Asli documents

    Kripya apne original document ki photo ya scan bina kisi physical ya digital modification ke upload karein.

  • Alag-alag documents

    Agar aap apna address verify karne ke liye ID document ka use karna chahte hain, toh aapko Proof of Identity verification ke liye ek alag document upload karna hoga.

    • Aap apni identity verify karne ke liye options aur tips iss article mein dekh sakte hain.


📌 Examples

Bijli ka bill

Bank Statement

Nagarpalika tax bill

Gas bill

क्या इससे आपके सवाल का जवाब मिला?